Heard it on Radio some time back and liked it. Thus sharing it!
Nafraton ke mausam main, ulfaton ke mausam main
Dil ne dard paya har mausamon ke mausam main
Nafraton ke mausam main, ulfaton ke mausam main
Dil ne dard paya har mausamon ke mausam main
Ab khushi mili bhi tau hum usay jala dainge
Ab khushi mili bhi tau hum usay jala dainge
Zindagi bita dali jab ghamon ke mausam main
Khamoshi ko odh kar teergi main chal diye
Khamoshi ko odh kar teergi main chal diye
Tanhai hi hasil hai qurbaton ke mausam main
Dil ne bhi uski tarha mujhse bewafai ki
Dil ne bhi uski tarha mujhse bewafai ki
Saath uska hi dia furqaton ke mausam main
Apni jaan pe ban aai uske hausle dekho
Apni jaan pe ban aai uske hausle dekho
Muskura ke jeeta hai dooriyon ke mausam main
Hum ne jab bhi ghabra ke uska naam socha hai
Hum ne jab bhi ghabra ke uska naam socha hai
Phool khilte dekhe hain patharon ke mausam main
Aur apni wafa ka deka hai ek jaisa hi anjaam
Apni wafa ka dekha hai ek jaisa hi anjaam
Doston kimehfil main, dushmanon ke mausam main
Daur-e-badghumani main woh dil ki baat kia sunna
Daur-e-badghumani main woh dil ki baat kia sunna
Shaakh kia hari hoti patjhadon ke mausam main
Par hum na samjhe aaj tak taqaza-e-junoon hai kia
Hum na samjhe aaj tak taqaza-e-junoon hai kia
Raaston ko kho dena manzilon ke mausam main
Raaston main ulfat ke ana ki ik deewar hai
Raaston main ulfat ke ana ki ik deewar hai
Raah koi mili hai kab parbaton ke mausam main
Uski justujoo main tau khud ko hi kho dena tha
Uski justujoo main tau khud ko hi kho dena tha
Hum safar pe nikle thay sanihon ke mausam main
Dil ki is dehleez pe uska muntazir diya
Dil ki is dehleez pe uska muntazir diya
Ab jalayga kab talak aandhiyon ke mausam main
Kirchiyan chunte hue ab haath hain lahu lahu
Kirchiyan chunte hue ab haath hain lahu lahu
Patharon se ki wafa aainon ke mausam main
Aur gham main bheegi aankh ko hairangi se mat dekho
Ke gham main bheegi aankh ko hairangi se mat dekho
Aray barishain tau hoti hain barishon ke mausam main
Aur dil ko cheer jati hai raat chandni hawa
Aur dil ko cheer jati hai raat chandni hawa
Aur teri khamoshiyan sardiyon ke mausam main
Aur kisi mausam main seh bhi jata main magar
Aur kisi mausam main seh bhi jata main magar
Usne dard bheja hai chahaton ke mausam main
like it…nice
Dukh Dey Kar Sawaal Kartey Ho,
Tum Bhi “Ghalib” Kamaal Kartey Ho….
Dekh Kar Poochh Liyaa Haal Mera,
Chalo Kuchh To Khayaal Kartey Ho….
Shehar-e-Dil May Yeh Udaasiyaan Kaisi,
Yeh Bhi Mujh say Sawaal Karte Ho….
Merna Chaahay To Mar Nahi Saktay,
Tum Bhi Jeena Mahaal Kartey Ho….
Ab Kis Kis Ki misaal Doon Tum Ko,
Har Sitam Bay-Misaal Kartey Ho….!¡!¡